Thursday, April 25, 2013

wo jo chahaton ka sarab hai by zeeshan hyder

best ghazal of zeeshan hyder
hazrat zeeshan hyder ki ghazal
ghazal by zeeshan hyder

wo jo chahaton ka sarab hai tera khab hai mera khab hai 
ye khumar misl e habab hai tera khab hai mera khab hai 

nahe mahtab e chman to kya mujhe lazzat e shab e taar ko
ye charag hai wo sahab hai tera khab hai mera khab hai 

rah e dasht karb o bala ko ab zara dekh hadd e nigaah tak 
wo jo dard e rang e gulaab hai tera khab hai mera khab hai 

wo nafas nafas meri dhadkanon ke rabab se hai mila hua
jo suroor e mauj e sharab hai tera khab hai mera khab hai 

use padh ke hi to qalandaron ko shuur e ishq o junun mila
jo kitaab e dil ka nisaab hai tera khab hai mera khab hai 

yeh safar bhi ay mere ham rakab yahi samajh ke guzar de
ye jo dasht hai yeh jo aab hai tera khab hai mera khab hai 

tere ashk e sail e rawan ko me isi leye nahe rokta
teri chasm e nam me jo taab hai tera khab hai mera khab hai 



Sunday, April 21, 2013

janab e munavvar rana ki shayari ke mutafarriq sher

janab e munavvar rana ki shayari ke mutafarriq sher
urdu shayari by munavvar rana

to ab is gaun se rishta hamara khatm hota hai
ke aantkhen khol lijayen ke sapna khatm hota hai 

muqaddas muskurahat maN ke honton par larazti hai 
kisi bache ka jab pehla separa khatm hota hai 

hawaen chupke chupke kaam ma aakar ye kehti hai  
parindo ud chalo ab aab o dana khatm hota hai 

bohot din reh leye dunya ke sarkas me tum rana 
chalo ab uth liya jaye tamasha khatm hota hai

Thursday, April 11, 2013

Wednesday, April 10, 2013

Friday, April 5, 2013

maine rote hue poche the kisi din aansu maaN aur munavvar rana ka dard

mother and son in views of munavvar rana
MaaN ki mamta munavvar rana ki shayari me
maaN shayari
maine rote hue poche the kisi din aansu
muddatoN maaN ne nahe dhoya dupatta apna

agar school me bache hon to ghar acha nahe lagta
parindoN ke nahone se shajar acha nahe lagta

meri khahish hai ke phir se farishta hojauN 
maaN se is tarah lipat jauN ke phir bacha ho jauN

khud ko is bheed me tanha nahee hone denge

zahid azami ki dard bhari gazal

zahid azami ki dard bhari gazal

dard bhari gazal

mujhe khushiyoN ka koi gam nahee hai
tera gam bhi khushi se kam nahee hai
meri khushiyoN me shamil tha zamana 
magar koi shareek e gam nahee hai
akela huN me khud apne hi ghar me
koi sathi koi hamdam nahe hai
kisi ki yaad ki khusbo hai shayad
guloN ka to abhi mausam nahee hai
nahee gam chhe dushman zamana
mizag e yaar agar barham nahe hai
na poncho warna jal jayega daman 
mere aansuN haiN koi shabnam nahi hai
jo qatil hai munsif bhi zahid

Thursday, April 4, 2013

Tuesday, April 2, 2013

zindagi me khusi ki nakar justaju justaju teri nakam ho jayegi

urdu romantic poetry by masuda hayat zindagi me khusi ki nakar justaju justaju teri nakam ho jayegi

urdu romantic poetry
urdu sad poetry

zindagi me khusi ki nakar justaju justaju teri nakam ho jayegi
gam ki daulat nahe jab ke sab ke leye phir masarrat hi kyun aam hojayegi