Friday, March 8, 2013

saqib lakhnavi ki gazal

saqib lakhnavi ki gazal

GAZAL
SAQIB LAKHNAWI     
name:  mirza zakir Husain
Takhallus : SAQIB      (1949-1869)
Hijar ki shab nala e dil yoN sada dene lage
Sunne wale rat katne ki dua dene lage
Kis nazar se aap ne dekha dil  e majroh ko
Zakham jo kuch bhar chale the phir hawa dene lage
Bag baN ne aag di jab aashiyane ko mere
Jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
mothiyaN me khak le kar dost aye waqt e dafan
zindagi bhar ki muhabbat ka silah dene lage
aayena ho jaye mera ishq un ke husn ka
kya mazah ho dard agar khud hi dawa dene lage
sinah sozaN main ghat raha he wo dhowa
ouf karoN to aag dunya ki hawa dene lage