Sunday, February 5, 2017

anjum rahbar shayari ek swli si ladki

anjum rahbar ka geet ek swli si ladki


Ek sawli si ladki 
ek bawli si ladki
kachi hai umr jis ki 
kuch din se jaan jis ki 
chahat main kho gai hai 
deewani ho gai hai 
Ek sawli si ladki 
ek bawli si ladki

kya jane khab is ka 
ankhon me hai sambhale
kuch sochti hai shba bhar
mun par lihaf dale
ghar wale sochte hain
jaldi se so gai hai 
Ek sawli si ladki 
ek bawli si ladki

sudh budh nahee hai khud ki
sudh budh nahee hai ghar ki 
har din badal rahi hai 
kurti naye colour ki
be rang odhni bhi
rangeen ho gai hai
Ek sawli si ladki 
ek bawli si ladki



Wednesday, March 16, 2016

anjum rehbar poetry in bohot khoob tv program

anjum rehbar poetry in bohot khoob


saath choote the saath choote hain
khab toote the khaab toote hain

me kahan jake sach talash karun
aaj kal aaine bhi jhote hain

anjum rehbar
anjum rehbar
khol kar chahaton ka darwaza
rah takna bhi band kardega

mere pardesi laut aa warna 
dil dhadakna bhi band kardega

-----
anjum rehbar poetry

pholon ne kabhi rangon ne paigham diya hain
maine teri yadon ko kai naam diye hain

 maikhane ki bunyad mere dam se hai lekin
saqi ne mujhe toote huye jaam diye hain

--------
anjum rehbar poetry 

itne qareeb ake sada de gaya mujhe
 me bujh rahi thi koi hawa de gaya mujhe

usne bhi khaak daldi anjum ki gabr par