Monday, March 11, 2013

KHAJA MEER DARD ki gazal

KHAJA MEER DARD ki gazal

GAZAL
DARD 
NAME: KHAJA MEER
Takhallus:  DARD     (1785-1721)
Tohmate chand apne zimma dhar chale
Jis liye aye the ham so kar chale
Zindagi he ya koi tofan he
ham to is jine ke hathoN mar chale
dosto !dekha tamasha yaN ka bas
tum raho ab ham to apne gahr chale
aah !bas ji bahut jala tab janiye
jab koi afsos tera is par chale
shama ke manind ham is bazm me
chashm nam aye the daman tar chale
ek me dil resh hoN waisa hi dost
zakhm kitnoN ke suna he bhar chale
saqya! yaN lag raha he chal chalawo
jab talak bas chal sake sager chale
dard kuch malom he ye log sab
kis taraf se aye the kidhar chale