ab jo bazar me rakhe hain to hairat kya hai best shayari
by rahat indori
ab jo bazar me rakhe hain to hairat kya hai
jo bhi dekhega wo puchega ke qeemat kya hai
mere pehle hi kaha tha ke safeN theek karen
ab agar haar ke baithe hain to hairat kya hai
------
sual chuki thi ye dunya thapak thapak ke mujhe
jagadiya teri pazeeb ne khanak ke mujhe
koi bataye ke me is ka kya ilaj karun
pareshan karta hai ye dil dhadak dhadak ke mujhe
talluqat me kaise darad padti hai
batadiya kisi kam zarf ne chalak chalak ke mujhe
bohot si nazren hamari taraf hain mehfil me
ishara kardiya us ne zara sarak ke mujhe
-----
uski kathai ankon me hai jantar mantar sab
chaqu waqu churiyan wuriyan khanjar wanjar sab
jis din se tum roothi mujh se roothe roothe hain
chadar wadar takiya wakiya bistar wister sab
mujh se bichad kar wo bhi kahan ab pehle jaise hai
pheeke pad gaye kapde wapde zeewar weewar sab
-----
jaagne ki bhi jagane ki bhi adat hojaye
kash tujh ko kisi shair se mohobbat hojaye
door ham kitne dinon se hain kabhi gaur kiya
phir na kehna jo amanat me khayanat hojaye
ukhde padte hain meri qabr ke patthar hardin
tum jo ajao kisi din to marammat hojaye
-----
chalte phirte hue mehtab dikhayenge tumheN
ham se milna kabhi panjab dikhayenge tumheN
puchte kya ho ke rumaal ke piche kya hai
phir kisi roz ye sailab dikhayenge tumheN
------
ungliyaN yun na sab par uthaya karo
kharch karne se pehle kamaya karo
zingi kya hai khud hi samajh jaoge
barishon me patange udaya karo
shaam ke baad tum jab sahar dekhlo
khuch faqeeron ko khana khilaya karo
dostoN se mulaqat ke naam par
neend ki pattiyon ko chabaya karo
chaand suraj kahan apni manzil kahan
aise waison ko mum na lagaya karo
0 comments: