urdu ghazal by altaf ziya
shajar ki shaak par jab bhi samar lehrane lagte haiN
wo kachhe ho ke pakke us par patthar aane lagte haiN
ya mandir hai ya masjjid hai ye girja hai ye butkhana
zara sa aage badh jaun to phir maikhane lagte haiN
wo qatil hai hamare aur ham maqtool hain lekin
unhen inaam milta hai hemen jurmane lagte haiN
safar ki sari uljhan me bhool jata hun
mere bache mujhe dekh kar jab muskane lagte haiN
bulandi par pohonchne ki hawas bhi khoob hoti hai
jinheN udna nahee aata wo par phailane lagte haiN
0 comments: