Friday, March 29, 2013

Thursday, March 28, 2013

Wednesday, March 27, 2013

ham apni maaN ke hathoN me niwala chod aaye haiN

ham apni maaN ke hathoN me niwala chod aaye haiN
ghiza kitni hi achi ho hameeN achi nahe lagti
ham apni maaN ke hathoN me niwala chod aaye haiN

najane kyuN hameeN reh reh ke ye mehsoos hota hai
kafan le ke aaye haiN janaza chod aaye haiN

hameeN reh reh ke dada ka ya jumla yaad aata hai
vaheeN lagta hai shayad ham shalooka chod aaye haiN

Tuesday, March 26, 2013

paka kar rotiyaN rakhti thi maN jis saleeqe se

paka kar rotiyaN rakhti thi maN jis saleeqe se
paka kar rotiyaN rakhti thi maN jis saleeqe se
nikalte waqt wo rati ki daliya chod aaye haiN

hamare ghar me billi aur tota saath rehte the
mohabbat ham tera asli namuna chod aaye haiN

na ac tha na cooler they magar lu ke zamane me
hamara saathe deta tha jo pankha chod aaye haiN

najane kitne chehroN ko dhuwan kar ke chale aaye
najane kitni aankhoN ko chalakta chod aaye haiN

yeh khud garzi ka jazba aaj tak ham ko rulata hai

yeh khud garzi ka jazba aaj tak ham ko rulata hai
ke ham bete to le aaye bhateeja chod aaye haiN

to kya sadyoN ka rishta todne ka naam hijrat hai
dar o deewar tak ko hakka bakka chod aaye haiN

udasi saath jayegi hameN tanha na chodegi
bohot logoN ko ham rota bilakta chod aaye haiN

munawwar rana ka muhajir nama by urdushayarisms.com


wazu karne ku jab bhi baithte haiN yaad aata hai

wazu karne ku jab bhi baithte haiN yaad aata hai
ke ham ujlat me jamna ka kinara chod aaye haiN

hameN is zindagi par is liye bhi sharm aati hai
ke ham marte hue logoN ko tanha chod aaye haiN

abhi tak barishoN me bhegte hi yaad aata hai
ke ham chappar ke neche apna chata chod aaye haiN

muhajir keh ke dunya is leye ham ko satati hai 
ke ham aate hue qabroN me shjra chod aaye haiN
munawwar rana ka muhajir nama

ye kaisi nafrateN haiN jo hameeN abtak sata ti haiN

ye kaisi nafrateN haiN jo hameeN abtak sata ti haiN
ye kaisi nafrateN haiN jo hameeN abtak sata ti haiN
mohabbat ham tujhe shayad  adura chod aye haiN

khuda jane ye hijrat thi ke hijrat ka tamasha tha
ujale ki tamanna me ujala chod aaye haiN

badi ammi nahi kehti thi dawran e safar kehte
parathoN ke leye gondha tha aata chod aye haiN