Thursday, April 25, 2013

wo jo chahaton ka sarab hai by zeeshan hyder

best ghazal of zeeshan hyder
hazrat zeeshan hyder ki ghazal
ghazal by zeeshan hyder

wo jo chahaton ka sarab hai tera khab hai mera khab hai 
ye khumar misl e habab hai tera khab hai mera khab hai 

nahe mahtab e chman to kya mujhe lazzat e shab e taar ko
ye charag hai wo sahab hai tera khab hai mera khab hai 

rah e dasht karb o bala ko ab zara dekh hadd e nigaah tak 
wo jo dard e rang e gulaab hai tera khab hai mera khab hai 

wo nafas nafas meri dhadkanon ke rabab se hai mila hua
jo suroor e mauj e sharab hai tera khab hai mera khab hai 

use padh ke hi to qalandaron ko shuur e ishq o junun mila
jo kitaab e dil ka nisaab hai tera khab hai mera khab hai 

yeh safar bhi ay mere ham rakab yahi samajh ke guzar de
ye jo dasht hai yeh jo aab hai tera khab hai mera khab hai 

tere ashk e sail e rawan ko me isi leye nahe rokta
teri chasm e nam me jo taab hai tera khab hai mera khab hai 



Sunday, April 21, 2013

janab e munavvar rana ki shayari ke mutafarriq sher

janab e munavvar rana ki shayari ke mutafarriq sher
urdu shayari by munavvar rana

to ab is gaun se rishta hamara khatm hota hai
ke aantkhen khol lijayen ke sapna khatm hota hai 

muqaddas muskurahat maN ke honton par larazti hai 
kisi bache ka jab pehla separa khatm hota hai 

hawaen chupke chupke kaam ma aakar ye kehti hai  
parindo ud chalo ab aab o dana khatm hota hai 

bohot din reh leye dunya ke sarkas me tum rana 
chalo ab uth liya jaye tamasha khatm hota hai

Thursday, April 11, 2013

Wednesday, April 10, 2013