hazrat zeeshan hyder ki ghazal |
wo jo chahaton ka sarab hai tera khab hai mera khab hai
ye khumar misl e habab hai tera khab hai mera khab hai
nahe mahtab e chman to kya mujhe lazzat e shab e taar ko
ye charag hai wo sahab hai tera khab hai mera khab hai
rah e dasht karb o bala ko ab zara dekh hadd e nigaah tak
wo jo dard e rang e gulaab hai tera khab hai mera khab hai
wo nafas nafas meri dhadkanon ke rabab se hai mila hua
jo suroor e mauj e sharab hai tera khab hai mera khab hai
use padh ke hi to qalandaron ko shuur e ishq o junun mila
jo kitaab e dil ka nisaab hai tera khab hai mera khab hai
yeh safar bhi ay mere ham rakab yahi samajh ke guzar de
ye jo dasht hai yeh jo aab hai tera khab hai mera khab hai
tere ashk e sail e rawan ko me isi leye nahe rokta
teri chasm e nam me jo taab hai tera khab hai mera khab hai