Saturday, March 23, 2013

Thursday, March 7, 2013

majaz ki gazal Kuch tujh ko khabar he ham kya kya aye shorish e doraN bhol gaye

majaz ki gazal Kuch tujh ko khabar he ham kya kya aye shorish e doraN bhol gaye

Gazal
ASRAR UL HAQ MAJAZ 
name: asrar ul haq
Takhallos:   MAJAZ        (1955-1911)
Kuch tujh ko khabar he ham kya kya aye shorish e doraN bhol gaye
Wo zulf e pareshaN bhol gaye wo deda e giryaN bhol gaye
Aye shoq e nazzarah kya kahiye nazroN main koi sorat hi nahiN
Aye zoq e tasawor kya kijiye ham sorat e janaN bhol gaye
Ab gul se nazar milti hi nahiN ab dil ki kali khilti hi nahiN
Aye fazal e baharaN rokhsat ho ham latef e baharaN bhol gaye
Sab ka to madawa kar dala apna hi madawa kar na sake
Sab ke to girebaN si dale apna hi girebaN bhol gaye
Ye apni wafa ka aalam he ab unki jafa ko kya kahiye
Ek nashr e zaher again rakh nazdek rag e jaN bhol gaye