Thursday, July 4, 2013

Monday, June 17, 2013

ghazal by dr meena naqvi

ghazal  by dr meena naqvi
ghazal 
by dr meena naqvi

ye mat samajhna faqeer hu'n mai..
ana ke haq mai kaseer hu'n mai...

mujhe sitaara samajhne valo'n ..
falak pe badr e muneer hu'n mai

haqiqate'n mujh mai khemazan hai'n..
sadaqat'o'n ki safeer hu'n mai...

hai munsafi mere dam se qayam...
adalato'n ki musheer hu'n mai...

misaal merei nahi'n milegi..
k aap apni nazeer hu'n mai..

hai mujh mai zanjeer chahato'n ki...
mohabbato'n ki aseer hu'n mai..

sja hai  shero'n mai dard ''meena''...
ghazal ke lehje ki  meer hun mai

Thursday, May 16, 2013

tasleem niyazi ki urdu gazal

urdu gazal
urdu gazal by tasleem niyazi
gazal 
BE-CHAIN KAL THE TUM BHI SO KAHNE ME SHARM KIUN
JAGE NA RAT BHAR TOYE ANKHON PA WARM KIUN
KUCHH JAL RAHA HAI DIL KE NIHAN KHANE ME ZARUR
WARNA BADAN TUMHARA HAI IS DARJA GARM KIUN
YA RAB TERE JAHAN ME HAI KIUN IS QADAR TAZAD
US SANGDIL KE LAB HAIN GULON SE BHI NARM KIUN
MUJHKO MILA HAI SHOQ TO KIUN MU'TARIZ HAIN AP
KAHIE KE DI HAI APKO QUDRAT NE SHARM KIUN
TASLIM TERE SHAHR-E-SITAMGAR ME AJKAL
BAZAR-E-ILTIFAT-O-INAYAT HAI GARM KIUN
(Taslim Neyazi)
 

Saturday, May 11, 2013

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal malik ezaz ain ki gazal





gazal 

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal
mairi raatoN k andhairy mayN sitary ki misaal

mujhy khawaboN mayN koi heer milli hi jab say
mayN ny sab chhor dia takhat hazarry ki misaal 

khood ko rakhta hi woh behty hovy darya ki tarah 
joo mujhy rakhta nahi saath kinaryy ki misall

aain pal bhar ka bharossa nahi karna us par 
zindgi hi he hawaooN myN ghabaary ki miisaal

MALIK AIZAZ AAIN

Thursday, April 25, 2013

wo jo chahaton ka sarab hai by zeeshan hyder

best ghazal of zeeshan hyder
hazrat zeeshan hyder ki ghazal
ghazal by zeeshan hyder

wo jo chahaton ka sarab hai tera khab hai mera khab hai 
ye khumar misl e habab hai tera khab hai mera khab hai 

nahe mahtab e chman to kya mujhe lazzat e shab e taar ko
ye charag hai wo sahab hai tera khab hai mera khab hai 

rah e dasht karb o bala ko ab zara dekh hadd e nigaah tak 
wo jo dard e rang e gulaab hai tera khab hai mera khab hai 

wo nafas nafas meri dhadkanon ke rabab se hai mila hua
jo suroor e mauj e sharab hai tera khab hai mera khab hai 

use padh ke hi to qalandaron ko shuur e ishq o junun mila
jo kitaab e dil ka nisaab hai tera khab hai mera khab hai 

yeh safar bhi ay mere ham rakab yahi samajh ke guzar de
ye jo dasht hai yeh jo aab hai tera khab hai mera khab hai 

tere ashk e sail e rawan ko me isi leye nahe rokta
teri chasm e nam me jo taab hai tera khab hai mera khab hai 



Sunday, April 21, 2013

janab e munavvar rana ki shayari ke mutafarriq sher

janab e munavvar rana ki shayari ke mutafarriq sher
urdu shayari by munavvar rana

to ab is gaun se rishta hamara khatm hota hai
ke aantkhen khol lijayen ke sapna khatm hota hai 

muqaddas muskurahat maN ke honton par larazti hai 
kisi bache ka jab pehla separa khatm hota hai 

hawaen chupke chupke kaam ma aakar ye kehti hai  
parindo ud chalo ab aab o dana khatm hota hai 

bohot din reh leye dunya ke sarkas me tum rana 
chalo ab uth liya jaye tamasha khatm hota hai

agar eeman salamat hai to man maila nahee hota gazal by altaf ziya maleganavi

agar eeman salamat hai to man maila nahee hota gazal by altaf ziya maleganavi
urdu best gazal of altaf ziya

agar eeman salamat hai to man maila nahee hota
jo sadqa bantte hain un ka dhan maila nahee hota

jo ham khud ko bacha lete jahan ki dhool mitti se
badan maila na hota pairahan maila nahee hota

ziyada bolne se to bohot behtar hai chup rehna
adab ki had me rehne se sukhan maila nahee hota

jinhen quran ki aayat zabani yaad hain un ki 
lahad mahfooz rehti hai kafan maila nahee hota

hamare mulk ke rehbar nashe me choor rehte hai 
agar ye hosh me rehte watan maila nahee hota

mush read:

Thursday, April 18, 2013

Hamare hathon se cheen kar wo ghazal hawa mein uchaal dena urdu gazal by zeeshan hyder

urdu shayari
urdu gazal
romantic ghazal poem
ghazal by zeeshan hyder
Aik Ghazal Ahbab ki Nazr
By : Zeeshan Haider 
(Canberra,Australia)

Hamare hathon se cheen kar wo ghazal hawa mein uchaal dena
Hunar he os ka kisi ke lafzon ko apne maani mein dhaad dena
Kabhi jo batlaaon dil jalon ko mein apni mehr-o-wafa ka qissa
Wo os ka chashm-e-zadan mein radd-e-bala ka sadqa nikal dena
Mujhe ye kehta he peer-e-gardun ke asl-e-ishq-o-juno to ye he
Keh jaate jaate bhi aasman per kai sitaare ujaal dena
Osi ki chashm-e-ataa pe rakho nazar keh jis ki nazar nazar ne
Kisi ki mushkil ko taal dena kisi ko mushkil mein daal dena
Abhi tu khud ko talaashta he rah-e-juno mein naya naya he
Ye oski darya dili keh Haider ki naa khuda se misaal dena

Saturday, April 13, 2013

Wednesday, April 10, 2013

Dil jal raha ha chhaon main diwar-e yar ki, hazrat qabil ajmeri ki romantic gazal aur urdu shayari poetry

Dil jal raha ha chhaon main diwar-e yar ki, hazrat qabil ajmeri ki romantic gazal aur urdu shayari poetry
urdu gazal
urdu shayari


Dil jal raha ha chhaon main diwar-e yar ki,
Taswir khainch lo sitam-e rozgaar ki,

Yaro umeed o saghar o toba ka zikar kaya,
Ab k to dil bhi torr gai rut bahaar ki,

Q bujh gae chraagh sitaron ko kaya hua,
Raat itni mukhtsir to na thi intzar ki,

Hum bhi dil-e khana khraab se bezaar hen magr,
Kaya kijiye k bat nhin ikhtiyar ki,

Dil bhi he chaak chaak jigr bhi ha dagh dagh,
Lai thi shehr-e gul main tamna bahar ki,

Mur mur k dekhty hain shab-e gham k rahro,
Ankhon men roshni ha abhi intzar ki,

Dil intiha pansd khird hosla shikan,
Diwanay kis se bat kren bazm-e yar ki,

QABIL lutta k khon-e tamna ki surkhiyan,
Hum ne chaman se qaid utha di bahar ki.

QABIL AJMERI