sad poetry

janab e munawwar rana apne muhajir name maiN farmate haiN:

1-Muhajir hain magar ham eek dunya chod aye haiN
    Tumhare pas jitna hai ham utna chod aaye haiN

2-kai ankheN abhi tak ye shikayat karti rehti haiN
    ke ham behte hue kajal ka darya chod aaye haiN

3-yeh hijrat to nahee thi shayad hamari buzdili thi
    ke ham bistar pe ek haddi ka dhancha chod aaye haiN

4-kai darjan kabotar to hamare pas aise the
    jinhen pehna ke ham chandi ka challa chod aaye haiN

5-hansi aati hai apni hi adakari pe khud ham ko
    bane phirte hain yousuf aur zulekha chod aaye haiN




sahir ludhyanavi 
(most popular filmi poet)

tujh ko khabar naheen magar ek sada lauh ko
barbad kar diya tere do din ke pyar ne
...................
kabhi khud pe kabi halat pe rana aaya
bat nikli to har ek bat pe rana aaya
kis leye jete haiN kis ke leye jete haiN
barha aise sawalat pe rona aaya
kon rota hai kisi aur ki khatir ey dost
sab ko apni hi kisi bat pe rona aaya

-----

Tum husn pe apne nazaN ho tum dil ka tadpna kya jano
tum aag lagana jan gaye tum aag bujhana kya jano



--------
Hma maikade ki rah se hokar guzar gaye
yuN to safar hayat ka kitna taweel tha

---------
Zindagi mai khushi ki na kar jusjatu
justaju teri nakam hojayegi
gam ki daulat nahe jabke sab ke leye
phir masarrat hi kuN aam hojayegi

-----------
meherbaN hon ke ham par wo nameherban 
lab hilane ki koi ijazat naheen 
mu me rahkte hue bhi zaban aaj to
hogaye jaise ham bezabaN dosto

dosto apni samte safar tay karo
warna chalene pe ilzam aajayega
umr bhar tum bhatakte rahoge youn hi
chod dega tumheN kar wan dosto

kam nahee hai hayat aaj ke daur me 
ham se urdu ki kuch nam lewa to hain
har sukhan me mele jalwa e fikr o fan
ab kahan aise ahle zaban dosto



0 comments: