Tum husn pe apen nazaN ho tum dil ka tadapna kya jano
tum aag lagana jan gae tum aag bujhana kya jano
----------------------
nazuki un ke lab ki kya kaheye
pankhadi ek gulab ki si hai
meer in neem baz aankhoN me
sari masti sharab ki si hai
-----------------------
muddateN guzreN teri yad bhi na aayi hameN
aur ham bhool gai hoN tujhe aisa bhai nahee
-------------------------
mujh ko pana hai to phir mujh me utar kar dekho
yuN kinare se samandar nahe dekha jata
----------------------
mar ne ki duaeN kya manguN jine ki tamanna kon kare
ye dunya ho wa dunya ab dunya dunya kon kare
jab kashti sabit o salim thi sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kon
-------------------------
mai dil par jabr karuNga tujhe bhuladunga
marunga khud bhi tujhe bhi kadi saza dunga
-----------------------
shairon ke jo pas rehte haiN
aksar wahi udas rehte haiN
-----------------------
sham hi se kuch bujha bujha sa rehta hai
dil hi goya charag muflis ka
----------------------
shayad usi ka nam mohabbat hai shyufta
ek aag si hai seene ke andar lagi hue
0 comments: