Saturday, March 16, 2013

siraj aurangabadi ki gazal

siraj aurangabadi ki gazal

GAZAL
SIRAJ AWORANG ABADI
NAME:SAYED SIRAJ UDDEN
Takhallus:   SIRAJ     (1764-1714)
Khabar tahayor ishq sun na jonon raha na pari rahi
Na to to raha na to main raha jo rahi so be khabar rahi
Sheh e be khodi ne ata kiya mujhe ek libas barhanagi
Na khirad ki bakhyagiri rahi na jonoN ki parda dari rahi
Chali simt geeb se ek hawa ke chaman soror ka jal gaya
Magar ek shak nihal gam jise dil kaheN so hari rahi
Nazre tagaful yar ka gilah kis zubaN se karoN bayaN
Ke sharab hasrat o aarzo kham dil main thi so dhari rahi
Wo ajeb ghadi thi ke jis ghadi liya dars nuskha ishq ka
Ke kitab aqal ki taaq par jo dhari thi so dhari rahi
Tere josh hairat husn ka asar is qadar seen yahaN howa
Ke na aayina main rahi jala na pari ko jalwah giri rahi
Kya khak aatish ishq ne dil be nawae siraj ko
Na khtra raha na jazba raha magar ek be khatri rahi