Monday, March 11, 2013

gazal of jon aliya

gazal of jon aliya

GAZAL
JON ALIYA 
name: SAYED SABT ASGAR NAQAWI
Takhallus:  JON    (2002-1936)
Naya ek rabt paida kiyoN kareN ham
Bichad na he to jhagda kiyoN kareN ham
Khamoshi se ada ho rasme dori
Koi hangama barpa kiyoN kareN ham
Ye kafi he ke ham dushman nahiN haiN
Wafadari ka dawa kiyoN kareN ham
Wafa ikhlas qurbani muhabbat
Ab in lafzoN ka picha kiyoN kareN ham
Hamari hi tamanna kiyoN karo tum
Tumhari hi tamanna kiyoN kareN ham
Kya tha ahad jab lamhoN main ham ne
To sari umar aifa kiyoN kareN ham
nahiN dunya ko jab parwa hamari
to phir dunya ki parwa kiyoN kareN ham
ye basti he mosalmanoN ki basti
yahaN kare masiha kiyoN kareN ham