laut aao bhula kar khataen meri
rah me dil bicha dun agar tum kaho
eed ka chand nikla sajee har gali
me bhi ghar ko sajadon agar tum kaho
jang se mulk jete gaye hain sada
pyar se jeet leta hai dil aadmi
ye tumhari nigahoN me nafrat hai jo
is ko chahat banaduN agar tum kaho
kya kaha ye andhere na mit payenge
kya kaha roshni ab na ho payegi
de ke dil ka ujala charagon ko me
rat ko din banadun agar tum kaho
wo junuN kya hua wo wafa kya hue
ab to chudi bhi lane ki fursat nahee
kis mohabbat se kal tak ye kehte the tum
chand tare bhi laduN agar tum kaho
sab yahan par hain apne paraye nahee
aur apnon se kuch bhi chupate nahee
zikr jis me tumhari jafaon ka hai
wo gazal bhi sunaduN agar tum kaho
Read Also
Read Also
0 comments: