geet
by shabeena adeeb
jeewan hai anmol jeewan hai anmol
jeewan hai anmol jeewan hai anmol
is jeewan me to nafrat ka zehr na pyare ghol
jeewan hai anmol jeewan hai anmol
jo aaya hai is dunya ise padega jana
phir kaisi ya shan o shawkat phir kysa itrana
ye dunya hai mitne wali ye dunya fani hai
char dinon ki is dunya me sabhi ki mehmani hai
in sansoN ka hogayega kabhi ka dibba gol
nafrat karne wala hai jahan me rehta hai sharminda
jisne sab par pyar lutaya raha wo mar ke bhi zinda
jo matlab jeena ka na samjha sab se dushmani thani
wo marne ke baad piyega kadwi nadi ka pani
nikla kar to apne laboN par saja ke mithe bol
jeewan hai anmol
sona chndi heere moti sab kuch chodna hoga
sab pyari cheezon se tujh ko rishta todna hoga
dhan daula jaageer nahee kuch saathe me jane wali
dunya jitne wala sikandar gaya yahaN se khali
maut khadi hai tere sar par ab to aankheN khol
jeewan hai anmol
jaisi karni waisi bharni badon ka hai ye kehna
tu khud ye faisla karle kaise hai tujh ko rehna
to lutega chain to apna chain bhi khona hoga
tu auron ko dukh dega to tujhe bhi rona hoga
qudrat ke qanoon me pyare nahee hai koi jhool
jeewan hai anmol
0 comments: