Saturday, February 4, 2017

Selected ghazals of rahat indori

rahat indori ghazals

rahat indori is a best poet of urdu language and famous in mushairas,he is performing well in urdu mushairas.we are presenting some very well and beautiful ghazals of rahat indori,

Rahat indori shayri No 1

kis ne dastak di dil par kon hai?
aap andar hain dil ke banar kon hai?

raz jo kuch ho isharon me bata bhi dena
hath jab us se milana to daba bhi dena

kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar me raho
ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar me raho

zaban to khol nazar to mila jawab to de
main kitni bar lutaun mujhe hisab to de

tere badn ki likhawat me hai utar chadau
main tujho ko kaise padhunga mujhe kitab to de

sawere roz numish me khalal padta hai
chand pagal hai andhere me nikal padta hai

us ki yaad ayi hai sanson zara ahista chalo
dhadkanon se bhi ibatdat me khalal padta hai

 rahat indori ki ghazal no 2

samandaron se safar me hawa chalata hai
jahaz khud nahee chalte khuda chalata hai

tujhe khabar nahee mele me ghoomne wale
teri dukaan koi dusra chalata hai

ye log paun nahee zehen se apahach hain
udhar chalenge idhar rehnuma chalata hai

ham apne budhe charagon pe khoob itraye
aur is ko bhol gaye jo hawa chalata hai

ghazal No 3


ye hadsa to kisi din guzarne wala tha
main bach bhi jata to ek roz marne wala tha

mera naseeb mere haath kat gaye 
warna main tere mang me sidoor bhar ne wala tha

rahat indori best ghazal no 4


tofanon se ankh milao sailabon par waar karo
mallahon ka chakkar chodo tair ke darya par karo

pholon ki dukanen kholo khusbo ka wyapar karo
ishq khata hai to ye khata ek baar nai saw bar karo

aaj ham donon ko fursat hai chalo ishq karen
is me noqsan ka khatra hi nahee rehta hai

aap hindi main musalman ye isai wo sikh
yaar chodo ye siyasat hai chalo ishq karen


ghazal no 5

ungliyan yun na sab par uthatya karo
kharch karne se pehle kamaya karo


zindagi kya hai khud hi samajh jaoge 
barishon me patangen udaya karo

sham ke baad tum jab sahar dekhlo
kuch faqeeron ko khana khilaya karo

doston se mulaqat ke naam par
neend ki battion ko jalaya karo

chand suraj kahan apni manzil kahan
aise waison ko muh mat lagaya karo




0 comments: