Thursday, May 16, 2013

tasleem niyazi ki urdu gazal

urdu gazal
urdu gazal by tasleem niyazi
gazal 
BE-CHAIN KAL THE TUM BHI SO KAHNE ME SHARM KIUN
JAGE NA RAT BHAR TOYE ANKHON PA WARM KIUN
KUCHH JAL RAHA HAI DIL KE NIHAN KHANE ME ZARUR
WARNA BADAN TUMHARA HAI IS DARJA GARM KIUN
YA RAB TERE JAHAN ME HAI KIUN IS QADAR TAZAD
US SANGDIL KE LAB HAIN GULON SE BHI NARM KIUN
MUJHKO MILA HAI SHOQ TO KIUN MU'TARIZ HAIN AP
KAHIE KE DI HAI APKO QUDRAT NE SHARM KIUN
TASLIM TERE SHAHR-E-SITAMGAR ME AJKAL
BAZAR-E-ILTIFAT-O-INAYAT HAI GARM KIUN
(Taslim Neyazi)
 

mohsin naqvi ke ek sher

urdu shayari
urdu sher by mohsin naqvi

mohsin naqvi 
me tere milne ku mojiza kehraha tha lekin
tere bichadne ka sanha bhi kamal guzra

Saturday, May 11, 2013

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal malik ezaz ain ki gazal





gazal 

jism ki raakh mayn dil aik sharary ki misaal
mairi raatoN k andhairy mayN sitary ki misaal

mujhy khawaboN mayN koi heer milli hi jab say
mayN ny sab chhor dia takhat hazarry ki misaal 

khood ko rakhta hi woh behty hovy darya ki tarah 
joo mujhy rakhta nahi saath kinaryy ki misall

aain pal bhar ka bharossa nahi karna us par 
zindgi hi he hawaooN myN ghabaary ki miisaal

MALIK AIZAZ AAIN

malik ezaz ain ka ek behtareen sher

sher of malik ezaz sahab
behtareen sher
   Dil uski yaad se gafil nahe hai
  ye istesna use hasil nahe hai

Thursday, April 18, 2013

Hamare hathon se cheen kar wo ghazal hawa mein uchaal dena urdu gazal by zeeshan hyder

urdu shayari
urdu gazal
romantic ghazal poem
ghazal by zeeshan hyder
Aik Ghazal Ahbab ki Nazr
By : Zeeshan Haider 
(Canberra,Australia)

Hamare hathon se cheen kar wo ghazal hawa mein uchaal dena
Hunar he os ka kisi ke lafzon ko apne maani mein dhaad dena
Kabhi jo batlaaon dil jalon ko mein apni mehr-o-wafa ka qissa
Wo os ka chashm-e-zadan mein radd-e-bala ka sadqa nikal dena
Mujhe ye kehta he peer-e-gardun ke asl-e-ishq-o-juno to ye he
Keh jaate jaate bhi aasman per kai sitaare ujaal dena
Osi ki chashm-e-ataa pe rakho nazar keh jis ki nazar nazar ne
Kisi ki mushkil ko taal dena kisi ko mushkil mein daal dena
Abhi tu khud ko talaashta he rah-e-juno mein naya naya he
Ye oski darya dili keh Haider ki naa khuda se misaal dena

Saturday, April 6, 2013

nigah e faqr me shan e sikandari kya hai allama iqbal aur un ke sher

allama iqbal ke behtareen sher aur unki shayari
allama iqbal ke chand sher

allama iqbal

nigah e faqr me shan e sikandari kya hai 
khiraj ki jo gada ho wo qaisari kya hai 

butoN se tujh ko umeedeN khuda se naumeedi
mujhe bata so sahi aur kafari kya hai

falake ne un ko ata hi hai khajagi ke jinheN
khabar nahee hai rawish e banda parwari kya hai 

Friday, April 5, 2013

zara si baat hai lekin hawa ko kaun samjahaye munavvar rana aur maaN

munavvar rana aur maaN ki mohabbat
Maan aur munavvar rana ki shayari 

maaN shayari 

zara si baat hai lekin hawa ko kaun samjahaye 
deye se meri maaN mere leye kajal banati hai 

kal apne aap ku dekha tha maaN ki aankhoN me
ye aaina hameeN budha naheeN batata hai

bulandiyoN ka bade se bada nashan chuwa
uthaya god me maaN ne tab aasman chuwa

mujhe to sachi yahi ek baat lagti hai 
maaN ke saye me rahe to raat lagti hai 

maine rote hue poche the kisi din aansu maaN aur munavvar rana ka dard

mother and son in views of munavvar rana
MaaN ki mamta munavvar rana ki shayari me
maaN shayari
maine rote hue poche the kisi din aansu
muddatoN maaN ne nahe dhoya dupatta apna

agar school me bache hon to ghar acha nahe lagta
parindoN ke nahone se shajar acha nahe lagta

meri khahish hai ke phir se farishta hojauN 
maaN se is tarah lipat jauN ke phir bacha ho jauN

khud ko is bheed me tanha nahee hone denge

kisi ko ghar mila hisse me ya koi dukaN aayi maaN shayari by munavvar rana

Tuesday, April 2, 2013

zindagi me khusi ki nakar justaju justaju teri nakam ho jayegi

urdu romantic poetry by masuda hayat zindagi me khusi ki nakar justaju justaju teri nakam ho jayegi

urdu romantic poetry
urdu sad poetry

zindagi me khusi ki nakar justaju justaju teri nakam ho jayegi
gam ki daulat nahe jab ke sab ke leye phir masarrat hi kyun aam hojayegi


Monday, April 1, 2013

jo paikar e wafa the sarapa khulus the

dil ka sawda adam mazaq nahi

romantic gazal in urdu
gazal

jane wale palat bhiaate haiN
yaar kuch intezar kar lete

kiya jab jawani ne azme safar

yaar kuch intezaar karlete

romantic urdu poetry and gazal

gazal

ham agar etebar kar lete
shobade ko bahar kar lete

mohabbat ko rasta dikhan pada

sitaroN se aage jahaN aur bhi haiN