Thursday, March 7, 2013

asgar gondavi ki gazal

asgar gondavi ki gazal

Gazal
ASGAR GONDAWI  
name:   ASGAR HUSAIN
(1936-1884)
Aalam e rozgar ko aasaN bana diya
Jo gam hoa ise gam e janaN bana diyao
yoN muskoraye jan si kaliyoN main pad gae
yoN lab kusha hoe ke gulistaN bana diya
aye shekh! Wo baset haqiqat he kufor ki
kuch qaed o rasm ne jise imaN bana diya
kuch aag di hawas main to tamer isqh ki
jab khak kar diya ise irfaN bana diya
ek barq thi zamer maiN fitrat ke mojizan
aaj is ko husn o ishq ka samaN bana diya
majbori e hayat main raz hayat he
zindaN ko main ne rozan e zindaN bana diya
wo shorisheN nizam e jahaN jin ke dam se he
jab mukhtasar ky inheN insane bana diya
ham is nigah e naz ko samjhe the neshtar
tum ne muskura ke rag e jaN bana diya
kehte haiN ek fareb musalsal he zindagi
is ko tabhi waqf hasrat o hirmaaN bana diya
aalam se bakhabar bhi hoN aalam main bhi hoN
saqi ne is moqam ko aasaN bana diya
is husn karobar ko mastoN se pochiyea
jis ko fareb hosh ne aasiyaN bana diya