Monday, June 13, 2016

ab jo bazar me rakhe hain to hairat kya hai rahat indori shayari

ab jo bazar me rakhe hain to hairat kya hai best shayari

by rahat indori 


ab jo bazar me rakhe hain to hairat kya hai
jo bhi dekhega wo puchega ke qeemat kya hai

mere pehle hi kaha tha ke safeN theek karen
ab agar haar ke baithe hain to hairat kya hai 

------

sual chuki thi ye dunya thapak thapak ke mujhe
jagadiya teri pazeeb ne khanak ke mujhe

koi bataye ke me is ka kya ilaj karun
pareshan karta hai ye dil dhadak dhadak ke mujhe

talluqat me kaise darad padti hai 
batadiya kisi kam zarf ne chalak chalak ke mujhe

bohot si nazren hamari taraf hain mehfil me
ishara kardiya us ne zara sarak ke mujhe

-----
uski kathai ankon me hai jantar mantar sab
chaqu waqu churiyan wuriyan khanjar wanjar sab

jis din se tum roothi mujh se roothe roothe hain
chadar wadar takiya wakiya bistar wister sab

mujh se bichad kar wo bhi kahan ab pehle jaise hai
pheeke pad gaye kapde wapde zeewar weewar sab

-----

jaagne ki bhi jagane ki bhi adat hojaye 
kash tujh ko kisi shair se mohobbat hojaye

door ham kitne dinon se hain kabhi gaur kiya
phir na kehna jo amanat me khayanat hojaye

ukhde padte hain meri qabr ke patthar hardin
tum jo ajao kisi din to marammat hojaye

-----

chalte phirte hue mehtab dikhayenge tumheN
ham se milna kabhi panjab dikhayenge tumheN

puchte kya ho ke rumaal ke piche kya hai
phir kisi roz ye sailab dikhayenge tumheN

------

ungliyaN yun na sab par uthaya karo
kharch karne se pehle kamaya karo

zingi kya hai khud hi samajh jaoge
barishon me patange udaya karo

shaam ke baad tum jab sahar dekhlo
khuch faqeeron ko khana khilaya karo

dostoN se mulaqat ke naam par
neend ki pattiyon ko chabaya karo

chaand suraj kahan apni manzil kahan
aise waison ko mum na lagaya karo


راحت اندوری کی شاعری :چند بہترین اور منتخب شعر


اب جو بازار میں رکھے ہیں تو حیرت کیاہے
جو بھی دیکھے گا وہ پوچھے گا کہ قیمت کیاہے 

میں نےپہلے ہی کہاتھا کہ صفیں ٹھیک کریں
اب جوہار کے بیٹھے ہیں تو حیرت کیا ہے

سلاچکی تھی یہ دنیا تھپک تھپک کے مجھے
جگادیاتری پازیب نے کھنک کھنک کے مجھے


rahat indori selected shayari ishq me jeet ke ane ke liye kafi hoN

rahat indori selected shayari 

ishq me jeet ke ane ke liye kafi huN
me nihatta hi zamane ke liye kafi huN

sirf ek baar meri neend ka ye jaal kate
jaag jaun to jagane ke liye kafi hun
rahat indori selected shayari
rahat indori selected shayari 

har haqeeat ko meri khab samajhne wale 
me teri neend udane ke liye kafi hun

ek akhbaar hun auqat hi kya meri
magar sheher me aag lagane ke liye kafi hun

mere bacho mujhe dil khol ke tum kharch karo
me akela hi kamane ke liye kafi huN

------

andhere charon taraf sayen sayen karne lage
charag hath utha kar duayen karne lage

saleeqa jin ko sikhaya tha ham ne chalne ka
wo log aaj hamen daayen bayen karne lage

taraqqi kar gaye beemariyon ke sawdagar
ye sab mareez hain jo ab dawaeN karne lage

ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi
safeed posh uthe kaayen kaayen karne lage

------
mere hujre me nahe aur kaheen par rakhdo
aasman laye ho le aao zameen par rakhdo

ab kahan dhoonde jaoge hamare qatil 
aap to qatl ka ilzam hameen par rakhdo

ho wo jamna ka ninara ye zaroori to nahee
mitti mitti hi me rakhni hai kaheen par rakhdo

rahat indori shayari bacha ke rakhi thi kuch roshni zamane se

rahat indori shayari 

bacha ke rakhi thi kuch roshni zamane se
hawa charag uda le gai sarane se

naseehaten na karo ishq karne walon ko
ye aag aur bhadak jayegi bujhane se

behekte rehne ki adat hai mere qadmon ko
sharab khane se niklun ke chaye khane se

------
rahat indori shayari poetry selection
rahat indori shayari 


Ye zindagi sawal thi jawab mangne lage
farishte aake khab me hisaab mangne lage

me jugnuoN ko muh laga ke uljhanon me pad gaya
ye bewakhoof mujh se aaftab mange lage

idhar kiya karam kisi pe aur idhar jatadiya
namaz padhke aye aur sharab mangne lage

sukhan waron ne khud bana diya sukhan ko ek mazaq
zara si daad kya mili khitaab mangne lage

--------

sab ki neendoN me chalen khaboN me shamil hojayen
log soye hain chalo sheher me dakhil ho jayeN

qeematen kya hain hamari usee maloom nahe
uski khawhish hai ke ham muft me hasil hojayen

aye meri maut mujhe kuch dinon aur mohlat dede
meri khahish hai ke bache kuch qabil hojayen

-------
nadi ne dhoop se kya kehdiya rawani me
ujale paun patakne lage hain pani me 

ab itni sari shabon ka hisaab kon rakhe
bade sawab kamaye gaye jawani me

------
ye barf rateN bhi bankar abhi dhuwan ud jayen
wo ek lihaf me odhun to sardiyan udjayen

hawayen baaz kahan ati hain shararat se
saron pe haath na rakhen to pagdiyan ud jayen

bohot guroor hai darya ko apne hone par
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jayen

-----
zindagi ki har kahani be asar ho jayegi
ham na honge to ye dunya dar badar hojayegi

pauN pathar kar ke chodegi agar ruk jayie
chalte rahiye to zameeN bhi ham safar ho jayegi

lakhiyan bhi lazmi hain zindagi ke waste
itna meetha ban ke mat rahiye shakar hojayegi


Monday, April 22, 2013