rahat indori shayari
bacha ke rakhi thi kuch roshni zamane se
hawa charag uda le gai sarane se
naseehaten na karo ishq karne walon ko
ye aag aur bhadak jayegi bujhane se
behekte rehne ki adat hai mere qadmon ko
sharab khane se niklun ke chaye khane se
------
Ye zindagi sawal thi jawab mangne lage
farishte aake khab me hisaab mangne lage
me jugnuoN ko muh laga ke uljhanon me pad gaya
ye bewakhoof mujh se aaftab mange lage
idhar kiya karam kisi pe aur idhar jatadiya
namaz padhke aye aur sharab mangne lage
sukhan waron ne khud bana diya sukhan ko ek mazaq
zara si daad kya mili khitaab mangne lage
--------
sab ki neendoN me chalen khaboN me shamil hojayen
log soye hain chalo sheher me dakhil ho jayeN
qeematen kya hain hamari usee maloom nahe
uski khawhish hai ke ham muft me hasil hojayen
aye meri maut mujhe kuch dinon aur mohlat dede
meri khahish hai ke bache kuch qabil hojayen
-------
nadi ne dhoop se kya kehdiya rawani me
ujale paun patakne lage hain pani me
ab itni sari shabon ka hisaab kon rakhe
bade sawab kamaye gaye jawani me
------
ye barf rateN bhi bankar abhi dhuwan ud jayen
wo ek lihaf me odhun to sardiyan udjayen
hawayen baaz kahan ati hain shararat se
saron pe haath na rakhen to pagdiyan ud jayen
bohot guroor hai darya ko apne hone par
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jayen
-----
zindagi ki har kahani be asar ho jayegi
ham na honge to ye dunya dar badar hojayegi
pauN pathar kar ke chodegi agar ruk jayie
chalte rahiye to zameeN bhi ham safar ho jayegi
lakhiyan bhi lazmi hain zindagi ke waste
itna meetha ban ke mat rahiye shakar hojayegi
0 comments: