Friday, March 1, 2013

ehsan danish ki gazal Pur sish gam ka shukriya !kya tujhe agahi nahiN

ehsan danish ki gazal Pur sish gam ka shukriya !kya tujhe agahi nahiN

Gazal:
Ehsan Danish  
 name : Ehsan ul haq ehsan
Takhallos : Danish 
(1982-1914)
Pur sish gam ka shukriya !kya tujhe agahi nahiN
Tere bager zindagi dard he zindagi nahiN
Dor tha ek guzar gaya nashah tha ek tera otar gaya
Ab wo moqam he jahaN shikwa e be rokhi nahiN
 Tere siwa karoN pasand kya teri kaenat main
DonoN jahaN ki nemateN qimat bandage nahiN
Eshrte khuld ke liye zahid kaj nazar jhoke
Mashrab e ishq main to ye jurm he bandage nahiN
Lakh zamana zulm dhaye waqt na wo khuda dikhye
Jab mujhe ho yaqen ke to hasil e zidagi nahiN
Dil ke shaguftagi ke sath rahat e mekadah gae
Fursat e mekashi to he hasrat e mekashi nahiN
Ek wo rat thi ke jab tha mere ghar wo mahtab
Ek ye rat he kea b chand he chndni nahiN
Zakm pe zakhm kha ke ji apne laho ke ghont pi
Aah na kar laboN ko si ishq he dil lagi nahiN
Dekh ke khushk  o zard phol dil he kuch is tarah malol
Jaise teri khizaN ke ba’d dor e bahar hi nahiN