Ghazals of Parveen shakir : Best Ghazals Selection
Parveen shakir was very good quality Poets,she wrote several Books like Khushbo,Maah e tamam,she create a trend in Urdu Poetry,all Urdu Ladies Poets are Following her thoughts in ghazals and nazams.her book Khushbo is published in 1988,i am presenting some good collection of her ghazals here :
Ghazal No 1
qaryae jaan me koi phool khilane aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye
mere veeran dareechon me khushbo jage
vo mere ghar ke dar o baan sajane aye
us se ek baar to roothon main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye
isi kooche me kai us ke shanasa bhi to hain
wo kisi aur se mile ne ke bahane aye
zabt ke sheher panahon ki mere malik khair
gham ka sailab agar mujh ko bahane aye
Poem : Sirf Ek Ladki By Parveen shakir
apne sard kamre me
main udas baithi hun
neem wa darechon se
nam hawayen ati hain
mere jis ko choo kar
aag si lagati hain
tera naam le lekar
mujh ko gud gudati hain
kash mere par hote
tere pas ud ati
kash main hawa hoti
tujh ko cho ke laut ati
main nahee magar kuch bhi
sang dil rivajon ke
ahani hisaron me
umar qaid ki mulzim
sirf ek ladki hun!
Ghazal No 2 By Parveen shakir
chand us dees me nikla ke naheen
jane wo aaj bhi soya ke nahee
bheed me khoya hua bacha tha
usne khud ko abhi dhonda ke nahee
mujh ko takmeel samajhne wala
apne meyar me badla ke nahee
band kamre me kabhi meri tarah
shaam ke waqt wo roya ke nahee
0 comments: