Hum ulfat main jinki adam dekhtey hain!
Wo apni wafaa ka bharam dekhtey hain!
Barasti unhi per hai laanat khuda ki,
Jo sitam, dar sitam, dar sitam dekhtey hain.
Miley apni tamannaon ka haasil ab her din!
Hum khwaboon main noor-e-haram dekhtey hain.
Falaah paayengey bus yaqeenan wohi log,
Jo Mohammed (SAS) ka naqhsh-e-qadam dekhtey hain.
Muhalley ki nukkad pey bus baithey baithey,
Kyun tamashayee mera azam dekhtey hain?
Wo teer-e-nazar sey zakham dekey mujh ko,
Qareeb aakey unkey waram dekhtey hain!
Maqtal main kal shab uqubat pey meri,
Wo munsif! Baney be-sharam dekhtey hain
Bhulakar yun tareekh-e-dhiyafat hamari,
Ab kaafir hamarey jurum dekhtey hain?
Kyun gumraah tawheed-o-risaalat sey ho kar?
Sab qabaroon key manind sanam dekhtey hain.
Kaleem ye takhayyul nahin hai hamara!
Key shab-o-rooz khuda key karam dekhtey hain.