gazal (urdu shayari)
dard bahta gaya jitne darmaN kiye pyas badhti gai jitne aansi piye
aur jab daman e zabt chutne lagar ham ne khaboN ke jhute sahare leye
ishq badhta raha sue dar o rasan zakhm khata hua muskurata hua
rasta rokte rokte thak gaye zindagi ke badalte...
ham khulus wale hain yeh bhi kar dikhayenge
tohmateN khareedenge khidmateN lutaenge
ya to honge zandaN me ya milenge maqtal me
buzdilon ki mehfil me ham nazar na aayenge
...
rudade gham e dauran karta huN raqam tanha
maqtal se guzarta hai mera hi qalam tanh
saqi hai na sahba hai kya daur shameem aya
maikhane me baithe hain badida e nam tanh...