Friday, March 29, 2013

har samt andheroN ka basera hi bohot tha

gazal

har samt andheroN ka basera hi bohot tha
ek harf e taqaddus ka ujala hi bohot tha

tanha tha sada jaan ka khatra bhi bohot tha
lekin teri rahmat pe bharosa bhi bohot tha

us shaks ko hijrat ka zaman bhi bohot tha
kangan ki basharat ka ishara bhi bohot tha

hijrat ki sitam rani ka sadma bhi bohot tha
iqrar e mohabbat ka taqaza bhi bohot tha

ratoN me bohot chup ke suna karte the usko
taaseer e sukhan ka unheN khadsha bhi bohot tha

je haaN wahi afrad shahadat pe ade the
milne ka jinheN us se irada bhi bohot tha

yeh sach hai ke sachai ka dushman tha zamana
ye bhi to haqeeqat hai ke charcha bhi bohot tha

us shaks ko meri shohrat bhi raas na aaye
mazhar zahe qismat wo shanasa bhi bohot tha

0 comments: