Friday, March 29, 2013

dard bahta gaya jitne darmaN kiye pyas badhti gai jitne aansi piye

gazal (urdu shayari)

dard bahta gaya jitne darmaN kiye pyas badhti gai jitne aansi piye
aur jab daman e zabt chutne lagar ham ne khaboN ke jhute sahare leye

ishq badhta raha sue dar o rasan zakhm khata hua muskurata hua
rasta rokte rokte thak gaye zindagi ke badalte hue zaviye

uske wadoN se itna to sabit hua usko thoda sa paas e talluq to hai
ye alag baat hai wo hai wada shikan yeh bhi  kuch kam nahi usne wade kiye

jab hijaboN me pinhan tha husne butaN but parsti ka bhi ek meyar tha
ab to har mod par but hi but jalwagar ab kahaN tak butoN ko khuda maniye

kitne arbabe himmat ne un ke leye badh ke maidan me jaan bhi haar di
ab bhi unki nigahoN me hai badzani ab bhi un ko wafa ki sanad chahiye

jis ne loota tha usko salami meli ham lute ham ko mulzim bataya gaya
mast aankhoN pe ilzam aaya nahe ham pe lagti raheeN tohmateN bin piye

jis ne aamir mata e khudi beech di sach ye hai ismat e zindagi bech di
sar jhukane se behtar har sar dijeye bheek lene se behtar hai mar jaeye

0 comments: