gazal
by mazhar mohiuddin
hayat e mukhtasar tool e safa ham bhool jate haiN
hai pal pal maut se nazdeek tar ham bhool jate haiN
yeh kya andhi masafat hai ham bhool jate haiN
ham apni zaat ki khatir kabhi badla nahi lete
sitam hote hain jo bhi zaat par ham bhool jate haiN
wahaN to eN wa aaN karne ki gunjaish nahe mutlaq
hameen maloom hai sab kuch magar ham bhool jate haiN
jo taif se gizarti hai zafaryabi ki mazhar hai
aseer e rang o bo wo rehguzar ham bhool jate haiN
0 comments: