Sunday, March 31, 2013

yaad utri teri jab zaat ke darwaze par ! gazal by tarannum badr shama

gazal 
by tarannum badr shama



yaad utri teri jab zaat ke darwaze par !
eak dastak hui jazbat ke darwaze par !!
kya tera aks chura lae hai,n ashar mere !
saher kaesa hai ye naghmaat ke dar waze par !!

teergi me to koi sham e ummid jale !
sari duniya hai kharhi raat ke dar waze par !!

gum shuda ho gaya kya koi jigar ka tukrha !
eak maa,n phir hai hawalat ke dar waze par !!

bhool kar naaz o ada dard ki tasveer bani !
phir ghazal aai hai haalaat ke dar waze par !!

kyo,n hai afsos unhe meri tabahi ka SHAMA !
Chhorh aae jo mujhe maat ke darwaze par !!

0 comments: