Wednesday, April 10, 2013

Shoq-e be-intiha na de jaana, Bandgi ko Khuda na de jaana, qabil ajmeri ki romantic gazal

urdu gazal
urdu shayari


Shoq-e be-intiha na de jaana,
Bandgi ko Khuda na de jaana,
Zabt-e gham ka sila na de jaana,
Zindgi ki dua na de jaana,

Raat tareek rah na-hamwar,
Shama-e gham ko hawa na de jaana,

Dil e be-taab ka bharosa kaya,
Mujh ko aah-e rasa na de jaana,

Be-kasi se barri umeeden hain,
Tum koi aasra na de jaana,

Shoq ki ibtida ko thukra kar,
Jur'rat-e intiha na de jaana,

Raasty main qadm na ruk jaen,
Naala-e na-rasa na de jaana,

Mere shoq-e talb ki baat ha aur,
Tum talb se siwa na de jaana,

Koi ehsaan kar k QABIL par,
Dosti ki saza na de jaana.

QABIL AJMERI

0 comments: