Wednesday, April 10, 2013

Ishrat-e zeest kahan gham k huner hony tk, Phool bhi hans na saky chak-e jiger hony tk,qabil ajmeri ki romantic urdu poetry

urdu gazal
urdu shayari


Ishrat-e zeest kahan gham k huner hony tk,

Phool bhi hans na saky chak-e jiger hony tk,

Rat katt jaye gi chha jaye ga zindaan pe sakoot,
Shor-e zanjeer ha diwar main dar hony tk,



Ho k reh jata ha apni hi adaon main aseer,
Husn sha'ista-e arbab-e nazr hony tk,



Zulmat o noor main tafreeq abhi mushkil ha,
Rat so rang badlti ha sehar hony tk,

Wohi km'maegi fikr o nazr ha,k jo thi,
Ham unhen bhol gaye apni khabr honay tk,

Sooraj ubhray ga to chhatt jaen ge rahon k ghubaar,
Manzilen gum hain magr garm-e safer hony tk,

Marhaly zeest k bhi km to nahin hain a dost,
Aor ji len ge teri zulf k sar hony tk,

Manzil-e shab main yehi rakht-e safer ha QABIL,
Dard ki khair manata hun sehar hony tk.

0 comments: