Thursday, April 25, 2013

wo jo chahaton ka sarab hai by zeeshan hyder

best ghazal of zeeshan hyder
hazrat zeeshan hyder ki ghazal
ghazal by zeeshan hyder

wo jo chahaton ka sarab hai tera khab hai mera khab hai 
ye khumar misl e habab hai tera khab hai mera khab hai 

nahe mahtab e chman to kya mujhe lazzat e shab e taar ko
ye charag hai wo sahab hai tera khab hai mera khab hai 

rah e dasht karb o bala ko ab zara dekh hadd e nigaah tak 
wo jo dard e rang e gulaab hai tera khab hai mera khab hai 

wo nafas nafas meri dhadkanon ke rabab se hai mila hua
jo suroor e mauj e sharab hai tera khab hai mera khab hai 

use padh ke hi to qalandaron ko shuur e ishq o junun mila
jo kitaab e dil ka nisaab hai tera khab hai mera khab hai 

yeh safar bhi ay mere ham rakab yahi samajh ke guzar de
ye jo dasht hai yeh jo aab hai tera khab hai mera khab hai 

tere ashk e sail e rawan ko me isi leye nahe rokta
teri chasm e nam me jo taab hai tera khab hai mera khab hai 



0 comments: