Wednesday, April 10, 2013

Aaj dil beqarar sa kyun ha? Tera gham ha to baar sa kyun ha? qabil ajmeri ki ek behtareen gazal urdu poetry in roman

urdu shayari
urdu gazal


Aaj dil beqarar sa kyun ha?

Tera gham ha to baar sa kyun ha?


Mout dushwar ho gayi shayad,
Zeest par ikhtiyar sa kyun ha?



Koi wa'da nahin umeed nhin,
Phir mujhy intzar sa kyun ha?



Sun raha hun pyaam-e subha magr,
Har tarf ye ghubaar sa kyun ha?

Zindagi itni mukhtasir to nahin,
Tera gham musta'ar sa kyun ha?

In k waday ghalt sahi lekin,
Ishq ko etbaar sa kyun ha?

Dar-e zinda'n pe kis ne dastak di,
Aaj mosam bahar sa kyun ha?

Kaarwa'n to guzar gaya ho ga,
Raasty main ghubaar sa kyun ha?

Hum mohabat main mitt gae QABIL,
Ab koi gham'gusaar sa kyun ha?

QABIL AJMERI

0 comments: