zahid azami ki dard bhari gazal |
dard bhari gazal
mujhe khushiyoN ka koi gam nahee hai
tera gam bhi khushi se kam nahee hai
meri khushiyoN me shamil tha zamana
magar koi shareek e gam nahee hai
akela huN me khud apne hi ghar me
koi sathi koi hamdam nahe hai
kisi ki yaad ki khusbo hai shayad
guloN ka to abhi mausam nahee hai
nahee gam chhe dushman zamana
mizag e yaar agar barham nahe hai
na poncho warna jal jayega daman
mere aansuN haiN koi shabnam nahi hai
jo qatil hai munsif bhi zahid
yahaN khanjar hai marham nahee hai
must read: