Thursday, April 25, 2013

wo jo chahaton ka sarab hai by zeeshan hyder

best ghazal of zeeshan hyder
hazrat zeeshan hyder ki ghazal
ghazal by zeeshan hyder

wo jo chahaton ka sarab hai tera khab hai mera khab hai 
ye khumar misl e habab hai tera khab hai mera khab hai 

nahe mahtab e chman to kya mujhe lazzat e shab e taar ko
ye charag hai wo sahab hai tera khab hai mera khab hai 

rah e dasht karb o bala ko ab zara dekh hadd e nigaah tak 
wo jo dard e rang e gulaab hai tera khab hai mera khab hai 

wo nafas nafas meri dhadkanon ke rabab se hai mila hua
jo suroor e mauj e sharab hai tera khab hai mera khab hai 

use padh ke hi to qalandaron ko shuur e ishq o junun mila
jo kitaab e dil ka nisaab hai tera khab hai mera khab hai 

yeh safar bhi ay mere ham rakab yahi samajh ke guzar de
ye jo dasht hai yeh jo aab hai tera khab hai mera khab hai 

tere ashk e sail e rawan ko me isi leye nahe rokta
teri chasm e nam me jo taab hai tera khab hai mera khab hai 



Thursday, April 18, 2013

Hamare hathon se cheen kar wo ghazal hawa mein uchaal dena urdu gazal by zeeshan hyder

urdu shayari
urdu gazal
romantic ghazal poem
ghazal by zeeshan hyder
Aik Ghazal Ahbab ki Nazr
By : Zeeshan Haider 
(Canberra,Australia)

Hamare hathon se cheen kar wo ghazal hawa mein uchaal dena
Hunar he os ka kisi ke lafzon ko apne maani mein dhaad dena
Kabhi jo batlaaon dil jalon ko mein apni mehr-o-wafa ka qissa
Wo os ka chashm-e-zadan mein radd-e-bala ka sadqa nikal dena
Mujhe ye kehta he peer-e-gardun ke asl-e-ishq-o-juno to ye he
Keh jaate jaate bhi aasman per kai sitaare ujaal dena
Osi ki chashm-e-ataa pe rakho nazar keh jis ki nazar nazar ne
Kisi ki mushkil ko taal dena kisi ko mushkil mein daal dena
Abhi tu khud ko talaashta he rah-e-juno mein naya naya he
Ye oski darya dili keh Haider ki naa khuda se misaal dena