Monday, March 11, 2013

hali ki gazal

hali ki gazal

GAZAL
HALI 
NAME:   KHAJA ALTAF HUSAIN              
Takhallus:  HALI   (1914-1837)
He jostajo ke khab se he khab tar kahaN
Ib teherti he dekhiye ja kar nazar kahaN
Ya rab!is ikhtilat ka anjam ho bakher
Tha is ko ham se rabt magar is qadar kahaN
Ek umar chahiye ke gawara ho neshe ishq
Rakhi he aaj lazzat e zakham jigar kahaN
Ham jis par mare he haiN wo bat hi kuch aur
Aalam main tujh se lakh sahi to magar kahaN
Hoti nahiN qabol dua tarke ishq ki
Dil chahta na ho to zubaN main asar kahaN
Hali nashate nagma o mai dhondte ho ab
Aaye ho waqte subah rahe rat bhar kahaN