GAZAL
HALI
NAME: KHAJA ALTAF HUSAIN
Takhallus: HALI
(1914-1837)
He jostajo ke khab
se he khab tar kahaN
Ib teherti he
dekhiye ja kar nazar kahaN
Ya rab!is ikhtilat
ka anjam ho bakher
Tha is ko ham se
rabt magar is qadar kahaN
Ek umar chahiye ke
gawara ho neshe ishq
Rakhi he aaj lazzat
e zakham jigar kahaN
Ham jis par mare he
haiN wo bat hi kuch aur
Aalam main tujh se
lakh sahi to magar kahaN
Hoti nahiN qabol
dua tarke ishq ki
Dil chahta na ho to
zubaN main asar kahaN
Hali nashate nagma
o mai dhondte ho ab
Aaye ho waqte subah
rahe rat bhar kahaN
0 comments: