Wednesday, March 20, 2013

nasir kazmi ki gazal


GAZAL
NASER KAZIMI
NAME:NASER RAZA
Takhallus: NASER
(1972-1925)
Dil me ek laher se othi he abhi
Koi taza hawa chali he abhi
Shor barpa he khanaye dil main
Koi dewar si giri he abhi
Kuch to nazuk mizaj haiN ham bhi

Aur ye chot bhi nai he abhi
Tum to yaro abhi se oth bethe
Shaher main rat jagti he abhi
Yad ke be nishaN jazeroN se
Teri awaz aa rahi he abhi
Bhari dunya me ji nahiN lagta
Jane kisi chez ki kami he abhi
So gaye log us haweli ke
Ek khidki magar kholi he abhi
Waqt acha bhi aaye ga NASER

Gam na kar zindagi padi he abhi

0 comments: