Wednesday, March 20, 2013

nasikh ki gazal


GAZAL
NASIKH
NAME:SHEK IMAM BAKHS
Takhallus:NASIKH
(1838-1771)
Dil me poshida tape ishq botaN rakhte haiN
Aag ham sang ki manind nihaN rakhte haiN
Misle parwana nahiN kuch zar o mal apne pas
Ham faqat tum pe fida karne ko jaN rakhte haiN

Mehfil yar main kuch bat na nikli munh se
Kehne ko shama ki manind zubaN rakhte haiN
Ho gaya zard padi jis ki manind hasenoN pe nazar
Ye ajab gul haiN ke taser khizaN rakhte haiN
Ham ewaz mulke jahaN mulke sukhan aye nasikh
Go nahi hukme rawaN taba rawaN rakhte haiN

0 comments: