Wednesday, March 20, 2013

meeraji ki gazal


GAZAL
MERA JI 
name:SANAULLAH  DAR
 Takhallus:MEERA 
(1949-1913)
Nagri nagri phira mosafir ka rasta bhol gaya
Kya he tera kya he meraapna paraya bhol gaya
Kaise din the kaisi rateN kaisi baeN ghateN then
Man balak he pehle piyar ka sundar sapna bhol gaya
Yad ke pher main akar dil par aisi kari chot lagi
Dokh me sokh he sokh me dokh he bhed ye niyara bhol gaya

Ek nazar ki ek hi pal ki bat he dori sansoN ki
Ek nazar ka nor mita jab ek pal beta bhol gaya
Sojh bojh ki bat nahiN man moji he mastana
Lahar lahar se ja sar tapka sagar gehra bhol gaya
Apni beti  jag beti he jab se dil ne jan liya
Hanste hanste jiwan beta rona dhona bhol gaya
Jis ko dekho is ke dil me shikwa ha to itna he
hameN to sab kuch yad raha par ham ko zamana bhol gaya
koi kahe kis ne kaha kehdo jo kuch ji main he
mera ji keh kar pachtaya aur phir kehna bhol gaya

0 comments: