Wednesday, March 20, 2013

Meer taqi meer ki gazal


GZAZL
MEER
NAME:MUHAMMAD TAQI
Takhallus;MEER
(1810-1722)
Faqerana aye sada kar chale
miyaN khosh raho!ham dua kar chale
jo tujh bin na jine ko kehte the ham
so is ahad ko ab eafa kar chale
shifa apni taqder hi main na thi
ke maqdor tak to dawa kar chale

bahut arzo thi gali ki teri
so yaN se laho main naha kar chale
dikhai diye yoN ke be khod kya
hameN aap se bhi juda kar chale
jabeN sajda karte hi karte gayi
hq bandage ham ada kar chale
parastesh ki yaN tak ke aye but tujhe
nazar main sabhoN ki khuda kar chale
pas kya jo poche koi ham se MEER
jahaN main tum aye the kya kar chale

0 comments: