GAZAL
NAZEER AKBAR ABADI
NAME:SAYED
WALI MUHAMMAD
Takhallus: NAZER
(1830-1735)
Door se aye the saqi sun ke mekhane ko ham
Bas taraste hi chale afsos! Paimane ko ham
Me bhi mena bhi he sager bhi he saqi nahiN
Dil main aata he lagaadeN aag mekhane ko ham
kyoN nahiN leta hamari to khaabar aye be khabar
kyat ere aashiq hoe the dard o gam khane ko ham
ham ko phasna tha qafas main kya gila sayad ka
bas taraste hi rahe aab aur dane ko ham
taq abro main sanam ke kya khudai rah gayi
ab to pojheN ge isi kafir ke bot khane ko ham
bag main lagta nahiN sahra se ghabrata he dil
ab kahaN le ja ke betheN aise dewane ko ham
kya hoi taqser ham se to batade aye nazer
ta ke shadiye murg samjheN aise marjane ko ham
0 comments: