Sunday, March 17, 2013

andaleeb shadani ki gazal


GAZAL
ANDALEB SHADANI
NAME: WOJAHAT HUSAIN
Takhallus:ANDALEB 
(1969-1904)
Der lagi ane main tum ko shokor he phir bhi aaye to
Aas ne dil ka sath na choda waise ham ghabraye to
Shafaq dhanak mehtab ghatayeN tare nagme bijli phol
Is daman main kyakya kuch he wo daman hath main aye to

Chahat ke badle me ham bech deN apni marzi tak
Koi mile to dil ka gahak koi hameN apnaye to
Suni sonayi bat nahiN ye apne opar beti he
Phol nikalte sholoN se chahat aag lagaye to
Jhot he sab tarekh hamesha apne ko dohrati he
Acha!mera khab jawani thoda sa dohraye to
Nadani aur majbori main yaro kuch to faraq karo
Ek be bas insane kya kare toot ke dil ajaye to

0 comments: