Sunday, March 17, 2013

adeem hashmi ki gazal


GAZAL
ADEEM HASHIMI
NAME:FASEHUDDIN
Takhallus:    ADEEM   (2001-1946)
Kisi jhoti wafa se dil ko behlana nahiN ata
Mujhe ghar kagazi pholoN se mehka nahiN ata
Mai jo kuch hoN wahi kuch hoN jo zaher he wo batin he
Mujhe jhote dar o diwar chamkana nahiN ata
Mai darya hoN magar behta hoN mai kesar ki janib
Mujhe dunya ki pasti main otar jana nahiN ata
Zar o mal o jawahir le bhi aur thukra bhi sakta hoN
Koi dil pesh karta ho to thukrana nahiN ata
Parinda jab dana hamesha od ke aata he
Parinde ki taraf od kar kabhi dana nahiN ata
Agar sahra main haiN to aap khod aaye haiN sahra main
Kisi ke ghar to chal kar koi werana nahiN ata
Hoa he jo sada is ko nasiboN ka likha samjha
Adeem apne kiye par mujh ko pachtana nahiN ata

0 comments: