romantic poetry
mirza galib ki gazal
Hazaro khaesheN aisi ke har khahish pe dam nikle
Bahut nikle mere arman laikin phir bhi kam nikle
Dare kiyoN mera qatil kya rahe ga is ki garden par
Wo khuN jo chashm e tar se umar bhar yoN dambadam nikle
Nikal na khuld se aadam ka sunte aaye haiN lekin
Bahut be aabro ho kart ere koche se ham nikle
Bharm khul jae zalim tere qamat ki darazi ka
Agar is turra par pech o kham k pech o kham nikle
Magar likhwae koi is ko khat to ham selikhwae
Hoi is dor meN mansob mujh se badah aashami
Phir aaya wo zamana jo jahaN meN jam e jam nikle
Hoi jin se tawaqqo khastagi ki dad pane ki
Wo ham se bhi ziyadah khastae teeg e sitam nikle
Muhabbat meN nahiN he farq jine aur marne ka
Usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle
kahaN mekhane ka darwazah galib aur khan waez
0 comments: