Saturday, February 16, 2013

it is a mirza galib gazal Nukta chiN he gam e dil is ko sunae na bane


romantic poetry
mirza galib ki gazl

Nukta chiN he gam e dil is ko sunae na bane
Kya bane bat jahaN bat banae na bane
main bulata to hoN us ko magar aye jazba e dil
is pe ban jae kuch aisi ke ban aye na bane
khel samjha he kahiN chod na de bhol na jae
kash yoN bhi ho ke ban mere satae na bane
ger phirta he liye yoN tere khat ko ke agar
koi poche ke ye kya he to chupae na bane
is nazakat ka bura ho wo bhale haiN to kya
hath aayeN to unheN hath lagaye na bane
keh sake kon ke ye jalwah giri kis ki he
pardah choda he wo us ne ke othaye na bane
mot ki rah na dekhoN ke bin aye na rahe
tum ko chahoN ke na awo to bullae na bane
bojh wo sar se gira he ke othae na othe
kam wo aan pada he ke banae na bane
ishq par zor nahiN he ye wo aatis galib
ke lagae na lage aur bujhae na bane

yeh bhi padheN

0 comments: