Romantic poetry
mirza galib ki gazal
Aah ko chahie ek umar asar hone tak
Kon jita he teri zulf ke sar hone tak
Dam e har moj main he halqa e sad kam e nihang
dekheN kya guzre he qatre pe guhar hone tak
aashiqi sabar talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karo khun e jigar hone tak
ham ne mana ke tagaful na karo ge lekin
khak hojae ge ham tum ko khabar hone tak
par tu khor se he shabnam ko fana ki taleem
meN bhi ho Nek inayat
ki nazar hone tak
ek nazar besh nahiN fursat e hasti gafil
garmi e bazm he ek raqs e sharer hone tak
gam e hasti ka asad kis se ho juz murg elaj
0 comments: