Sunday, February 24, 2013

Aata he yad mujh ko guzra hoa zamana a nazm by allama iqbal



NAZAM
 PARINDE KI FARYAD
Poet:allama iqbal
Aata he yad mujh ko guzra hoa zamana
Wobag ki bahareN wo sab ka chehchahana
azdiyaN kahaN wo ab apne ghonsle ki
apni khoshi se aana apni khoshi se jana
lagti he chot dil par aata he yad jis dam
shabnam ke aansowoN par kaliyoN ka muskurana
wo piyari piyari sorat wo kamni si morat
aabad jis ke dam se tha mera ashiyana
aati nahiN sadayeN us ki mere qafas main
hoti meri rihai aye kash mere bas main
kya bad naseb hoN main ghar ko taras raha hoN
sathi to haiN watan main mai qaid meN pada hoN
aai bhar kaliyaN pholoN ki hans rahi haiN
mai is andhere ghar me qismat ko ro rha hoN
is qaed ka ilahi dhokda kise sunawoN?
Dar he yaheN qafas me mai gamse mar na jaoN

0 comments: