Monday, February 25, 2013

jigar murabadi ki nazm faryad hazir hai


Nazm
FARYAD
Poet:  Jigar muradabasi

Aai jab un ki yad to aati chali gae!
Har qafas e ma siwa ko mita ti chali gae!
Har manzar e jamal dekhati chali gae!
Jaise unheN kosamne lati chali gae!
Har waqia qareb tar aata chala gaya
Har shae haseen tar aati chali gae!
Weranae hayat k eek ek goshe main
Jogen koi sitar bajati chali gae!
Dil phunk raha tha aatish e zabt e firaq se
Depak ko meghar banati chali gae!
Be harf o be hikayaat o be saz o be sad
Rag rag main nagma ban ke samati chali gae!
Jitna hi kuch sokon sa aata chala gaya
Itna hi be qarar banati chali gae!
kefiyatoN ko hosh sa aata chala gaya
be kefiyatoN ko need si aati chali gae!
Kya kya na husn e yar se shikwe the ishq ko
Kyakya na sharmsar banati chali gae!
Tafreq e husn o ishq ka jhagda naheN raha
Tmeyez e qurb o boad mitqti chali gae!
Mai tishna kam e shoq tha pita chala gaya
Wo mast ankhdiyoN se pilati chali gae!
Ek husn be jihst ki fizaye baset main
Odti gae mujhe bhi odhati chali gae!
Phir main hon aur ishq ki be ta biyaN jigar
Acha hoa won end ki mati chali gae!

0 comments: